the poems     events     gallery     resources     about us     contact     home

Abdul Razzak

back

Teri niili niili aankhon men



terii niili niili aankhon men piaaraa koii ishaaraa hai
mai ye samja niil gaggan kaa chamtaa koii sitaara hai

rukh par terii zulf ki har sun bechainii ye kehtii hai
dekhon phir kiaa aasmaan pe baadal koii awaara hai

angaraaii aur nain kataari milkar satrang waar kare
khuun-e-jigar ka rang hai shaamil dhanak me koii pukaara hai

utaraa utaraa ruup ka dariaa chalakh na paai nain gagariaa
uthati maujei dhamsi gaii aur tuuta koii kinaara hai

banjaare ne iktaare pe giit milan ka ccherdiiaa
bastii bastii ghuumnewala priit ka koii maaraa hai

ashkh-e-muhaubat taare bankar niil gagan par phail gae
viiraan viiraan phalakta pehle aashik koii pukaaraa hai

bhujhte bhujte shamaa rehgaii dekhaa jo parvaane ko
haste haste jalne lagii vo sochke koii hamaara hai

ashkh-e-muhaubat khaakh men milkar taaj mahal men badal gaiaa
hamne kitne ashkh bahaae taaj na koii minaaraa hai

vo aae hamaarii mehfil men aur hosh ki puunji luut gae
chup chaap rahe sab takte rahe na bajta koii nakaraa hai

abr-e-bahaaran baras ke khul gae nain katore baras ke dhul gae
dhuup si roshan aankhon men dhanak sa koii nazaara hai





Mehfil-e-Shayeri is supported by: