the poems     events     gallery     resources     about us     contact     home

Neena

back

Jane aaj kya tha oun ankhon mein
Ki chah kar bhi nazaren outha na sakey
Palkain kaya jhukein ki bas jhukti hi gaen
Phir pyar apna chupa na sakey

Yeh to socha bhi na tha

Dilagi karke parega pachtana
Yeh to socha bhi na tha
Itna mushkil hoga phir palken uthana
Yeh to socha bhi na tha

Masat rehte the bas apne hi khayalon mein
Kabhi hakikat se bhi parega takrana
Yeh to socha bhi na tha

Katrane lage har aapno se parayon se
Kabhi tanhaion mein parega man ko bahalana
Yeh to socha bhi na tha

Inayat thi bahot pahle hi se gamon ki
Aap se milega ek aur nazarana
yeh to socha bhi na tha

marz jo diya hai to dava bhi bata do
namumkin ho jayega is dard ko chupana
yeh to socha bhi na tha

Aab raheine bhi do tum yeh aapne sitam
‘Neena’ par karoge tum war katlana
Yeh to socha bhi na tha





Mehfil-e-Shayeri is supported by: