|
Bhool kar bhi na main bhula pai
Bhool kar bhi na main bhula pai
Aur teri yaad phir chali aiee
Ponch kar rumaal abhi rakha tha
Ankh kyon phir meri bhar aiee
Dilkashi, dilrubaie kay sab fareb tha
Baat meri samajh main ab aiee
Do qadam aagay jo who chale aatey
Jaan laytee na aisee tanhaiee
Do qadam who tera peeche hatna
De giya umar bhar ki ruswaiee
Nazo andaz ka yeh alam key
Ik zamana tha uska sodaiee
Saath beetey lamhon ka yaad aana
Rooh ko de giya tanhaiee
Abh na yaad karengey unko
Abh ke humnay bi yeh qasam khaie
Jab se ojhal huwa nighaon sey
Tab se jaati rehi hai benhaiee
Naaz ‘Shabnam’ ko khud pe kyon na ho
Usne paiee hai andaaze dilrubaiee
|